Sunday, July 27, 2014

Why am i unsafe in my city?

I am a scattered and cluttered brain. I am writing a personal blog after a very long time. What i will write is offensive, its not for every one. You will judge me for every word that i write, you will say, "kuch bhi likhti hai", "jhola leke andolan karna shuru karde", " dude, what shit man" ...i know but you know what i still want you to read this. Its in hindi, so it might be so downmarket for some of you, you will think it doesn't happen to people around us...this happens in burbs (suburbs), no da, this is the story everywhere, close your eyes, or your brains, but yes this is the fact, and we deal with this every goddamn day!

Kyun jab ek ladki share auto me baithey toh woh sikudtey rahey? Kyun nahi jagah de saktey use ki woh bhi baithey tumhare jaisey... Kyun jab hum galti se general compartment me chadh jaye toh log keh uthey, ye gents compartment hai.....kyun ghurtey rehtey ho aisey? Kya dikh jayega tumhe? kyun hum yunhi dartey rahey ki koi hame hath na laga dey, kyun hum itne satark rahey ki koi hume chu na jaye....kyun first class me munh ke samne har roz newspaper dhar ke baithey ki samne khada woh admi hamey ghurta na rahey.....kyun mauka patey hi humey log hath lagatey rahe....

Maine toh na dekha aaj tak ki kisi ladki ne cheda hai tumhe, toh itni talab kyun hai tumhey apni chichori harkaton ko bayan karne ke liye.....

Kyun ek ladka apna back pack back me liye chale aur kyun har ladki use samne liye? Kya takleef hai tumhe gar hum formal-one piece pehney ya saree? Tere baap ke paise se na kharidi hai na kharidengey apne kapde, toh fir kyun takleef hai tumhey ki hum kya pehne?

Office tum bhi jatey ho hum bhi jatey hain, raat bhar kaam tum bhi kartey ho hum bhi kartey hain, toh fir kyun hi koi keh jata hai, ye ladki roz late ati hai, pata nahi office me kya karti hai......Sapne tumhare bhi hai aur hain hamare bhi, toh kyun log ye samjhtey hain ki hum kamatey hain shopping karne ke liye? 

Kyun hi shadi career se badhkar hai, aur kya khana banana hi humara janam siddh adhikar hai? Kab niklengey hum is soch ke pare, kab samjhengey ki hamare bhi hai sapne asmaan chune key....

Sharab tum bhi pitey ho hum bhi pitey, toh character hamara kyun less ho jata hai, kyun hum us 'type' ki ho jatey hain, kyun hum 'easily available' ban jatey hain? Kyun kisi single ladki ko ghar rent par nahi detey? Kyun hamare character par hai itney sawal uthtey? Hai soch kharab tumhari, uska bhugtan hum kyun karey? 

Kyun hai aaj hum unsafe apne hi shehron me, kyu dar lagta hai hume kisi ko thappad laganey me jab woh hamse battmeezi karein, kyun hai aaj log itne darey apne hi muhollley aur rishtedaron ke beech me, kyun dartey hain bachhey aaj school janey se, kya milta hai tumhe ek 6 saal ki bacchi ko rape karne sey.....kyun sab hai itna badla hua ek dashak me, ya tha yehi pehli bhi aur hum they ankhein meechey hue? Koi toh bata de kyun sari nazrein hai mujhpe jab mai khadi hun station me akele apne train ka intezar kartey hue.....